in

Steve Jobs 35 Motivational Quotes in Hindi

Apple Founder Steve Jobs

Yah decision lena ki aapko kya nahi karna hai,
Utna hi important hai jitna ki yah decision lena ki aap ko kya karna hai.


Mahan kaam karne ka keval ek hi tarika hai,
Vo karo jise tum karna pasand karte ho.
Agar tumhe abhi tak vo nahi mila hai,
to khojte raho. Compromise mat karo.


Aaj hum naye hai, lekin kuch din bit jane par,
hum bhi purane ho jayenge aur ye puri tarah se satya hai.


Mujhe lagta hai ki hum maje kar rahe hai.
Mujhe lagta hai ki hamare customers ko real me
hamare products pasand aate hai aur
hum hamesha behtar karne ki koshish kar rahe hai.


Yadi meine apna best performance kiya
fir bhi success nahi hua to bhi accha hai
kyoki meine apna best performance to diya.


Yadi aapki najar labh par rahegi to
aapka dhyan product ki quality se hat jayega.
Lekin yadi aap ek accha product banane par
dhyan lagaonge to labh apne aap aapki aur aaega.


Koi logo ki chahat kaise jaan sakta hai,
Jabki unhone us chiz ko dekha hi na ho.


Iss baat ko yaad karna ki ek din marna hai.

Kisi chiz ke khone ke dar ko dur karne ka sabse achcha tarika hai.


Jo itne pagal hote hai ki unhe lagta hai ki

ve duniya badal sakte hai, aksar ve duniya badal dete hai.

Dylan, Picasso aur Newton jaise mahan
kalakaro ne asafalata ka jokhim uthaya.
hum mahan banna chahte to hume jokhim uthana hi padega.


Design vah nahi hai ki chiz kaisi dikhti hai ya mahsoos hoti hai.

Balki design vah hai ki chiz kaam kaise karti hai.


Aap paida hi bina vastra ke hue the aur

kuch khone ke liye hai hi nahi.
Isliye aesi koi bhi vajah nahi hai ki aap apne dil ki nahi sune.


Mahan logo aur quality products ka kabhi end nahi aata hai.


Aap customer se punch kar uski pasand ka

product nahi bana sakte ho kyonki jab tak
aap wo banaonge tab vo kuch aur naya chahne lagenge.


Aap jis problem ka solution chahte
ho 
uska solution mil jaye.
Tab keval solution batana galat hai,

us problem ko bhi sath me batana jaruri hai.


Mahan karya karne ka ek hi tarika yah hai ki aap apne kaam se pyar kare.


Sayad mout hi iss jindagi ka sabse bada aavishkar hai.


Kisi chiz ko important banane ke liye
duniya ko badalne ki jarurat nahi hai.


Sansar aapko tabhi pehchan sakega jab

aap sansar ko apani kshamataon se parichaya karaenge.


Ye mere mantro me se ek hai ki

dhyan kendrit karo aur saral raho.
Saral bhi jatil se jyada strong ho sakta hai.


Hum chhoti chhoti chizo ko yaadgar bana sakte hai.


Mein apne jivan ko ek profession nahi manta.
Mein kaam me vishvas rakhta hun.
Mein situations se sikhta hu aur yah
ek profession ya job nahi hai yah to jivan ka saar hai.


Mera kaam logo ke sath narmi bartana nahi hai.

Mera kaam hai, Unhe aur achcha banana hai.


Hum kuch kho sakte hai,

iss chinta ke jaal me mukt hone ka
sabse achcha tarika hai ki iss baat ko
yaad rakhna ki hum kabhi mar jayenge.


Sabse important, apne dil aur man

ka upyog karne ka sahas karo.
Ve kisi tarah pehle se hi jante hai ki
aap sach me kya banna chahte ho.
Baki sab secondary chize hai.


Koi bhi saflata ek raat me nahi milti hai.

Uske pichhe jaane kitne years ki kadi mehnat hoti hai.


Aao aane vale kal mein kuch naya karte hai

bina iski chinta kare, Ki kal kya hua tha.


Meri jindagi ki sabse priya chiz ki koi kimat nahi.

Use kharida nahi ja sakta aur yah bilkul shai hai
ki hum sabhi ke paas jo sabse kimati sanshadhan hai vah hai time.


Mein sochta hun ki yadi aap kuch kar rahe hai

aur vo achcha ho jata hai to aapko iss karya par
adhik vichar karne ki bajaye kuch
aur adhbhut karna chahiye.
Agale karya ke liye vichar kijiye.


Kabhi kabhi jindagi aapke

sar par patthar se var karti hai.
Aap apna vishwas mat khona.


Mein sehmat hun ki vo jidd hi hai jo

safal businessman aur asafal logo ko alag karti hai.


Agar aap udna chahte hai, to aap ud sakte hai.

Bas, apne aap par adhik se adhik bharosa rakhiye.


Koi bhi marna nahi chahta hai.

Ve log jo swarg jaane ki ichcha
rakhte hai vo bhi nahi marna chahte hai.
Lekin mout se kabhi koi bach nahi saka hai.


Mujhe yekin hai ki safal aur asafal businessman

me aadha fark to keval self confidence ka hota hai.


Aapko kisi chiz me vishwas karna chahiye.

Aapka sahas, naseeb, urjaa ya karya jinme bhi aap chahe.
Ye drshtikon aapko kabhi girne nahi dega aur jindagi me aneko vibhinnataayen pradan karega.

 

One Comment

Leave a Reply
  1. day to make the visitors keep coming back to your blog for more. 2. Search Engine Optimization Make sure your blog posts are keyword rich. Write blogs around the in-demand keywords for your subject. This enhances the visibility of your blogs on the search engines, thereby increasing your Sunny Reese Hamachi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

What do you think?

1 point
Upvote Downvote

Total votes: 1

Upvotes: 1

Upvotes percentage: 100.000000%

Downvotes: 0

Downvotes percentage: 0.000000%

Achchi Baate – Jarur Yaad Rakhe

Swami Vivekananda 40 Inspirational Quotes in Hindi